Woh jo ham mein tum mein qarar thaa tumhein yaad ho k na yaad ho Wahi yaani wada nibah ka, tumhein yaad ho k na yaad ho
Woh jo lutf mujh pe thay paishter, woh karam k thaa miray haal per Mujhay sab hai yaad zara zara, tumhein yaad ho k na yaad ho
Who naye gilay, woh shikaayatein, woh mazay mazay ki hikaayatein Woh her aik baat pe roothna, tumhein yaad ho k na yaad ho
Kahin baithay sab mein jo ru ba ru, to isharaton hi mein guftugu Woh bayaan shauq ka bermala, tumhein yaad ho k na yaad ho
Hoay ittfaq se ger baham, to wafa jatanay ko dam ba dam Gilaa-e-malamat-e-aqraba, tumhein yaad ho k na yaad ho
Koi aisee baat ager hoi k tumhaare ji ko buri lagi To bayaan se pehlay hi bhoolna, tumhein yaad ho k na yaad ho
Kabhi ham mein tum mein bhi chah thee, kabhi ham se tum se raah thee kabhi ham bhi tum bhi thay aashna, tumhein yaad ho k na yaad ho
Suno ! zikr hai kayee saal ka k kia ek aap ne wada thaa so nebahnay ka to zikr kia, tumhein yaad ho k na yaad ho
Kaha mein ne woh baat kothay ki, miray dil se saaf uter gayee To kaha k jaane meri bala, tumhein yaad ho k na yaad ho
Woh bigerna wisil ki raat ka, woh na manna kisi baat ka Woh nahin nahin ki her aan adaa, tumhein yaad ho k na yaad ho
Jisay aap gintay thay aashna, jisay aap kehtay thay bawafa mein wahi hoon MOMIN-e-mubtila tumhein yaad ho k na yaad ho
|