Here are some of the popular poems of Faiz recited at the literary evening:
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale
Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale
Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale
Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale
Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin Jo kue yaar se nikle to sue daar chale
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge
Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge
Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
Faiz Ahmed Faiz poem upon return from Dhaka, Bangladesh, in 1972
Hum ke Thairey ajnabi itni madaraatooN ke baad Phir banain gaiN aashnaa kitni mulaqatooN ke baad
Kab nazar maiN aaey ge bai_daGh sabzey ki bahar Khoon ke dhabbey dhulain gaiN kitni barsaatooN ke baad
Dil to chaaha par shikasht-e-dil nay muhlat he na di Kuch giley shikvey bhi kar laitey manajaatooN ke baad
Thay buhat bai_dard lamhey Khatm-e-dard-e-ishq ke TheeN buhat bai_mehar subhaiN meherbaaN raatooN ke baad
Un se jo kehney gaey thai "faiz" jaaN sadqa kiye Unkahee he reh gai voh baat sab baatooN ke baad
|